Wednesday, 3 January 2018

HAQEEQI BADSHAH HEE BADSHAHI DETA HAI AUR IZZAT BHI


AAP kahe dijiye aye Allah aye Tamam jahano ke Malik tu jise chahe BADSHAHI de jisse chahe saltanat cheen le

Aur tu jise chahe IZZAT de aur jise chahe ZILLAT de Tera hee hath me sab bhalaiyan hai beshak tu har cheez par Qadir hai

((SURE ALE IMRAAN # 26))

Hum jab pakke iman wale honge tab hee hame BADSHAHI milegi ye yaad rahe

Aur Insan apne karnamo se izzat nahi pata balke Allah chahata hai tab izzat deta hai koi is guman me na rahe ke maine Falah Falah Kam Kiya hu isliye mashre me itni izzat hai

From www.ekummat.blogspot.in share to all

Sunday, 31 December 2017

ZALEEM AUR MAZLOOM KI MADAD KARNA ISLAM HAI PAR KAISE ??



Hazrat Ana's raziallah se riwayat hai unhone kaha Rasool Allah ﷺ ne farmaya tum Apne bhai ki MADAD karo khaah (chahe) wo Zalim ho ya mazloom

Sahaba Kram raziallah ne Arz Kiya ya Rasool Allah ﷺ wo Mazloom ho to uski MADAD karenge

Lekin Zalim ki MADAD kis tarha kare ??

AAP ne farmaya uske hath pakad kar use Zulm se Roko

((SAHIH BUKHARI # 2444))

Zalim Ko rokhna aur Mazloom ki madad karna. Ye dono zaroori hai

Ek hadees me hai ke burae Ko rokhe apni taqat ke mutabik

Hath se
Zaban se
Ya Dil me Bura Jan kar

Ye iman Ko Sabse chota darja hai agar ye bhi nahi to Apne IMAAN ki Kushi manao

From www.ekummat.blogspot.in share to all

Friday, 29 December 2017

MUSALMAN PAR ZULM NA KARNA USKI MADAD KARNA AUR AIB CHUPANA KE FAIDE



Hazrat Abdullah bin Umar raziallah se hee riwayat hai ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya musalman musalman ka  bhai hai lehaza na wo uspar zulm kare aur na hee use zulm ke hawale kare

Jo shaks Apne bhai ki hajat rawaee (MADAD Karne ) me mashroof hota hai to Allah ta,ala Qayamat ke din uski museebat Ko door karega

Aur Jo shaks musalman ka AIB chupaye Qayamat ke din Allah ta,ala uski parda poshi karega

(( SAHIH BUKHARI # 2442))

AAJ musalman dusre MUSALMAN  ki izzat ki dajjiya udhana me Magan hai aur Zara sa uska weak point mil jaye yani AIB sabko batata firega Allah rahem kare ameen

From www.ekummat.blogspot.in share to all

Thursday, 28 December 2017

BAKRIYAAN CHARANA HAR NABI KI SUNNAT RAHI HAI

Hazrat Abu Huraira Raziallah se riwayat hai woh Rasool Allah ﷺ se bayan karte hai ke App ne farmaya Allah ta,ala ne koi Nabi Aisa nahi bheja jisne bakriyaan na charayee  ho

sahaba kiraam ne Arz Kiya AAP ne bhi ??

FARMAYA haa Mai bhi kuch qeeraat ke ewaz ahle Makkah ki bakriyaan charaya karta tha

((SAHIH BUKHARI # 2262))

Ye har Nabi ki sunnat Rahi hai hame is sunnat par bhi Hamal karna chahiye aur isse ghar me Barkat bhi Hoti hai Bakri palne se

From www.ekummat.blogspot.in share to ally

Tuesday, 26 December 2017

DEEN KA KAM KARNE KE LIYE AGAR KOI SHAKS O'HDAH (TITLE) MANGE TO ??



Hazrat Abu Musa raziallah se riwayat hai ke unhone kaha ke Mai Rasool Allah ﷺ ki khidmat me Hazir huwa mere sath Asha'ri Qabeeleh ke do Aadmi the

Unhone Rasool Allah ﷺ se kisi O'hdah ki darkhaast ki Maine Arz Kiya ya Rasool Allah ﷺ Mujhe maloom nahi tha yeh mansab chahate hai AAP ne farmaya hum us shaks Ko hargiz kisi kaam me mamoor nahi karte jo khud Aamil banne ka khaahish mand ho

((SAHIH BUKHARI # 2261))

Is hadees se maloom hua ke koi agar koi ohdeh yani title ke saath Kam karna chahata hai to usko nahi Dena chahiye wo title

Maslan kisi masjid me koi kahe ke mujhe *Ameer* banao koi kahe ke mujhe *secretary* banao wagaira wagaira to usko us ohdeh par nahi khada karna chahiye isse Nabi ﷺ ne mana farmaya hai ye unki sunnat hai

From www.ekummat.blogspot.in share to all

Monday, 25 December 2017

PADOSI KO TAUFA DENA AUR KIS PADOSI KO PHELE DENA ?

?

Hazrat Aysha Raziallah se riwayat hai unhone kaha Ya Rasool Allah ﷺ do padosi hai un mese phele kisko taufa bheju ??

AAP Ne farmaya jiska Darwaza tumse zyada Qareeb ho

((SAHIH BUKHARI # 2259))

IS hadees se hame malum hue ke padosi se ache se pesh ana chahiye

Aur unhe taufa bhi Dena chahiye take Dil me Mohabbat bade aur phele usko  Dena hai jiska Darwaza karib ho take Darwaza par karke JAENGE padosi ke to wo padosi galat guamani na rakhe Dil me

Par afsos Aaj kal Mohabbat Kam jhagde zyada hota hai agar bat karenge bhi to Dil me nafrat bugz hasad rakhte hue khas kar aurte

From www.ekummat.blogspot.in share to all