Hazrat qaees bin sayeed (r.a) se Riwayat hai ke main herah me aya ((herah kufa ke qareeb ek jagah ka naam hai)) to maine dekha ke yaha ke log apne sardar ko (Tazeem ke taur par) sajda karte hai maine apne dil me kaha ke inke muqable me to rasool allah (saw) is bat ke zyada haqdar hai ke app (saw) ko (tazeem ke taur par) sajda kiya jaye phir jab main rasool allah (saw) pas aya to maine kaha mai herah gaya tha aur maine waha ke logo ko dekha ke wo apne sardar ko sajda karte hai aur app (saw) inke muqable is bat ke zyada haqdar hai ke hum app (saw) ko sajda kare app (saw) ne pucha bhala kya tu jab meri QABAR par ayega to kya sajda karega ??
Maine kaha NAHI to app (saw) ne farmaya to zindagi me bhi kisi ko sajda na karo rasool allah (saw)
NE Mazeed farmaya agar mai kisi ko sajda karne ka hukm deta to aurto ko hukm deta ke wo apne shohar(husband) ko sajda kare is haq ke badle me jO allah ta.ala ne mardon ke liye muqarrar kiya hai
((SUNAN ABU DAWOOD/ KITABUL NIKAH : 373))
From EK UMMAT grp sabko bheje plz
No comments:
Post a Comment