KYA TUM YEH KHYAL KARTE HO KE (YUNHI) BAHISHT (JANNAT) MEIN DAKHIL HO JAOGE AUR ABHI TUM KO PEHLE LOGON KI SI (MUSHKILEN) TO PESH AAYI HI NAHI.UNKO (BADI BADI) SAKHTIYAN AUR TAKHLIFEIN PAHONCHI AUR WOH (SAOBATON MEIN) HILA HILA DIYE GAYE.YAHAN TAK KE PAIGHAMBAR AUR MOMIN LOG JO UNKE SAATH THAY SAB PUKAAR UTHHE KE KAB (ALLAH) KI MADAD AAYEGI.DEKHO ALLAH KI MADAD (UN) QAREEB (AAYA CHAHTI) HAI~
(SURE BAQRA AYAT-214)
Jo iman wale hai unpar mushkile aur bimari wa takleef ati hai unhe har hal me sabr karna chahiye kyunke sabr me bhi ajr wa sawab hai aur ye allah ki taraf se azmaish hoti hai par ajka musalman thodi taklif hoti hai to ibadat me kami karne lagta hai aur baaz log chod dete hai hame sabr karna chahiye
No comments:
Post a Comment