QURÀN:
Jab aapka pukhta irada ho jaye to Allah pr bharosa karo be shak Allah tawaqqul karne walo se mohabbat karta hai.
((Surah Ale imran ‘ aayat no.159))
Hamare liye Allah hi kafi hai aur woh bahetarin kaar saaz hai.
((Quran :3/173))
Ham log tawaqqul ka matlb ye samjhte hai ke hr cheez Allah ke ikhteyar me hai.
Is liye maamlat Allah ke hawale kr do bs hamara kaam khatam . Ab hame kuch karne ki zarurat nhi na koi tadbeer karne ki zarurat hai na mahenat ki . Hasbe khoahish aap se aap ho jaye ga . .
LEKIN:
Na ye hamari soch sahih hai na ye tawaqqul ka matlb sahih hai .
Hame mehnat aur koshish karke fir allah par bharosa karna hai
From EK UMMAT grp sabko bheje plz
No comments:
Post a Comment