Saturday, 5 July 2014

NABI (SAW) NE UMMAT KI MISAL BARISH KI TARHA HAI FARMAYA !!


RASOOL ALLAH (SAW) NE FARMAYA meri ummat ki misal barish ki tarha hai jiske bare me ye malum nahi hota ke iski ibtada me khair wa bhalai hai ya inteha me ??

((TIRMIZI : 2873))

Woh is tarha ke:
Barish jab barasti hai to koi bhi is se andaza nhi laga sakta ke iske ibtadai pani me logo ke liye khair or bhalai hogi ya intahayi pani me.
((Yani koan sa pani zamin ko zarkhez kare ga ibtadayi ya intehayi ‘ koan sa pani logo ke liye faida mand ga ibtadayi ya intehayi pani))
Isi tarha se ummat ke baare me bhi ye andaza nhi lagaya jaa sakta h ke ummat ke kis doar ke log khair or bhalai hasil kare ge ibtada ke ya intaha ke. .

From EK UMMAT grp sabko bhejo plz

No comments:

Post a Comment