Maa ayesha (r.a) farmati hai maine nabi kareem sallallahu alaiwasallam se is ayat ke bareme pucha
Allah ta.ala farmata hai ;
Aur jo log dete hai jo kuch dete hai aur unke dil kapkapaate hai ke wo apne rab ki taraf lautne wale hai
(( SURE MOMENOON : AYAT : 60))
Aye allah ke rasool sallallahu alaewalam is ayat ke bareme wo log murad hai jo sharab peete chor aur zeena karte ha ??
Nabi kareem (saw) ne farmaya nahi aye siddiq ki beti isse murad woh log hai jo roza rakhte hai namaze padhte hai sadqa-wa-khairat dete hai aur wo khauf khate hai ke pata nahi hamarei ye ibadate qabool huwi ya radd ho gay
((TIRMIZI : 3175))
kya hum apni ibadaton ke kabul hone me itne fikar mand hai sahaba ramzan ke 6 maheene bad tak bhi ramzan ki ibadat kabool hone ke liye dua karte the
from www.ekummat.blogspot.in sabko bheje plz
No comments:
Post a Comment