Sunday, 9 August 2015

WALIDAIN PAR AULAD KA EK HAQ YE BHI HAI KE APNI AULAD KE DARMIYAN FARQ NA KARE BALKE INSAF KARE

Kyun ke Nabi kareem sallallahu alaiwasallam ne aulad ke darmiyan insaf karne ka hukm farmaya hai jaise ke ek sahabi ne apne beto mese ek kisi ek gulam hiba (gift) kiya Aur wo chaha te the ke is bat par nabi kareem (saw) gawa ho App (saw) ne unse pucha Kya tumne apne har bete ko ek ek gulam hiba (gift) kiye ?? Unhone arz kiya jee nahi Nabi kareem (saw) ne farmaya mai aise zulmana atiy par gawa nahi banunga ((SAHIH BUKHARI : 2650)) Chahe aulad kitni bhi na farman ho maa baap ko uska haq dena hee hai chahe property ka masla ho ya koi aur 1 bete ko zyada kyunki wo meri khidmat zyada karta hai Aur 1 bete ko kam kyunki wo meri khidmat kam karta hai ya karta hee nahi ye uska gunah hai uski wajah se ap allah ki sharyat ke khilaf na karo jo khidmat karta hai usko allah jannat de raha hai tume use zyada dene ki zarurat nahi From www.ekummat.blogspot.in sabko bheje plz

1 comment: