Hazrat sahal bin Saad Raziallah se riwayat hai unhone ne farmaya ke Rasool Allah ﷺ ke paas Paani ka ek bada piyalaah laya Gaya
AAP ne usme se Piya USS waqt AAP ke daayen janib ek Kam sin ladka bhaitha hua tha jab ke baayen taraf sab umr Raseeda log the AAP ne us waqt ladke se farmaya
Barkhurdar Kiya tu ijazat deta hai ke Mai baqyah Paani in bade logon Ko de doon ??
Usne Arz Ya Rasool Allah ﷺ AAP se bache hue Paani par Apne upar kisi aur Ko tarjeeh nahi de Sakta chananche AAP ne wo piyalaah usko Enayat farmaya
((SAHIH BUKHARI # 2351))
IS Hadees se maloom hua ke khane peene ki koi bhi cheez ya acha Kam daye janib se shuru Kiya jaye
Aur Nabi ﷺ se Mohabbat kaisi thi nawjawan ki ye bhi pata chala alhumdulillah
From www.ekummat.blogspot.in share to all
No comments:
Post a Comment