Hazrat Abu Huraira Raziallah se Riwayat hai ke ek shaks Rasool Allah ﷺ ke pass Aya aur bade sakhth Alfaz me AAP se apne qarz ka mutalba karne Laga USS par sahaba kiraam
Ne usse Marne ka Irada Kiya Magar Rasool Allah ﷺ ne farmaya isko chodh do Sahib-e-haq aisi batain kar sakte hai phir Aap ne farmaya
Ise utni hee umr ka ka ount (camel) dedo jis umr ka uska ount tha logo ne kaha USS umr ka Ount nahi balke usse behtar umr ka Ount Maojud hai AAP ne farmaya
Wohi dedo kyunke tum me Accha wo hai jo khoobi ke sath Qarz Adaa Kare
((SAHIH BUKHARI # 2306))
From www.ekummat.blogspot.in share to all
No comments:
Post a Comment