Tuesday 18 August 2015

AURAT AUR MARD APNI NIGAHE NICHE RAKHE aur AURTE APNE ZEWAR ZAHIR NA KARE


30: Musalman mardon say kaho apni nigahen neechi rakhen aur apni sharam gahon ki hifazat rakhen. Yeh hi unn kay liye pakeezgi hai log jo kuch keren Allah Taalaa sab say khabar daar hai.


31: Musalman aurton say kaho kay woh bhi apni nigahen neechi rakhen aur apni ismat mein farq na aaney den aur apni zeenat ko zahir na keren siwaye uss kay hi zahir hai aur apnay girbano per apni dupatte dalay rahen aur apni aaraeesh ko kissi kay samney zahir na keren siwaye apnay khawindo kay ya apnay walid kay ya apnay khusar kay ya apnay larkon kay ya apnay khawind kay larkon kay ya apnay bhaiyon kay ya apnay bhatijon kay ya apnay bhanjon kay ya apnay mail jol ki aurton kay ya ghulamon kay ya aisay naukar chaakar mardon kay jo shewat walay na hon ya aisay bachon kay jo aurton kay parday ki baaton kay baray mein mutlaa nahi.aur iss tarah zor zor say paon maar ker na chalen kay unn ki posheeda zeenat maloom ho jaye aey musalmano! Tum sab kay sab Allah ki janib mein toba kero takay tum najat pao.

((SURE NOOR : AYAT : 30 & 31))

Is ayat me allah ne apne zewar ko zahir karne se mana kiya hai kisi gair mard ke aur pair me payal wagaira pahen kar bahar nikalne se bhi kyunki uski awaz kisi gair mard ko nahi sunae deni chahiye payal ki

From www.ekummat.blogspot.in sabko bheje plz

No comments:

Post a Comment