QURÀN
“Tum bahetarin Ummat ho jo logo ke liye payeda ki gayi hai ke tum nek baato ka hukm karte ho aur buri baato se rokte ho ‘ aur Allah pr Imaan rakhte ho. .“
((Surah Ale_Imran:aayat no.110))
“Aur isse zayada acchi baat waala koan hai jo Allah ki taraf bulaye aur nek kaam kare aur kahe ke mai yaqinnan Musalmano me se ho“
((Surah Fussilat : aayat no.33))
HADIS:
Rasool Allah ((saw)) ne farmaya:
“Allah ki qasm ! agr aap ke zariye Allah ta‘ala ne ek aadmi ko bhi Hidayat aata kar di to aapke liye ((ye amal)) surkh ount se bahetar hoga.“
((Bukhari / Muslim))
Nabi ((saw)) ne farmaya:
“Jis shakhs ne neki ki taraf kisi ki rahenumayi ki ‘ use bhi neki karne waale ke barabr ajr_o_sawab mile ga.“
((Sahih Muslim:1893))
No comments:
Post a Comment