Sunday 13 July 2014

"KABRO KI POOJA / PARASTISH"

''KABRO KA AHTARAM / MAGHAR SAJDA HI HARAM'' ''QURAN KI AYAT AOR HADITH KYA KAHRAHI HI ARAM SE PARHNA'' Aur tumhare RABB ne faisla farmaya hai ke Uske siwa kisi ki ibadat na karo. >Surah Israa:23 Aur us shakhs se bad kar koun gumrah ho sakta hai, jo aiso ko pukare, jo Qayamat tak usey jawaab na de sake aur inko unke pukaar ne hi ki qabar na ho. >Surah Ahqaf:5 Allah ke siwa jin jin ko bhi tum pukaar te ho, wo ek makkhi bhi paida nahi kar sakte, agarchey ke wo sab iske liye jamaa ho jaye. >Surah Hajj:73 Rasul(saw) ne farmaya: Jo shakhs ghairullah ko pukaarta aur us se dua aur pukaar karta mar jaye, toh wo JAHANNAM me jayega. >Bukhari:4497 Aur Zinde aur Murde barabar nahi ho sakte, Allah jisko chahata hai suna deta hai aur Aye Nabi! Tu un logo ko nahi suna sakta jo KABRO me hai. >Surah Fatir:22 Aye Nabi! Beshak Tu MURDO ko nahi suna sakta. >Surah Room:52 Aap(saw) ne Ali ibn Abu Talib(ra) se farmaya: Jo koi Mujassama dekho toh use MITAA do, koi OONCHI KABAR dekho toh use BARABAR kardo. >Muslim:969 Aap(saw) ne un logo ke upar LAANAT ki hai, jo log KABRO par jakar chiraag jala te hai. >Abu Dawood:3230 Aap(saw) ne KABRO par Masjid (Sajda karne ki jagah) bana ne walo par LAANAT farmayi hai. >Abu Dawood:3288 Rasul(saw) ne KABAR par BAITH ne se, KABRO ko PAKKHI karne se, KABRO ko OONCHA karne se, KABRO par kuch TAMEER karne se aur KABRO par likhe huye PATTAR laga ne se manaa farmaya hai. >Abu Dawood:3225 Rasul(saw) ne farmaya: Jo shakhs kisi KABAR ka MUJAAWAR bane, us se behtar hai ke wo AAG ke angaarey par baith jaye aur AAG uske jisam aur uske kapdo ko jalaa kar raaqh kar daale. >Muslim:2119 Rasul(saw) ne farmaya: Meri ummat ke bad-tareen log wo honge, jo KABRO ki ibaadat karenge, jinki zindagi hi me unke upar qayamat aayegi. >Musnad Ahmad:3844 Aap(saw) ne farmaya: Allah ki LAANAT ho Yahudiyo aur Isayiyo ke upar, jinho ne apne Ambiya ki KABRO ko SAJDA-GAAH banaa liya. >Bukhari:435 Aap(saw) ne farmaya: Aye meri ummat ke logo! Qabardaar ho jao, tum se pehle jo log guzre hai, wo apne Ambiya o Awliya ki KABRO ko ibadat gaah banaa lete te. Qabardar tum KABRO ko ibadat gaah na banana, Mai(saw) tumhe aisa karne se manaa karta hoon. >Muslim:1188 Aap(saw) ne dua ki ke aye Allah Meri KABAR ko Tu bot na banana ke uski ibadat ki jaye. >Muatta Malik:9/88 Aap(saw) ne hukm diya ke Meri KABAR par barbaar laut kar na aana aur na mela lagana. >Musnad Ahmad:2/367 Aisha(ra) bayan karti hai ke Umm Salama(ra) aur Umm Habiba(ra) ne Hafsha ki sar-zameen ki taraf hijrat ki, waha unho ne Isayiyo ka ek girja dekha, jiske andar kuch tasavir latak rahi thi, is baat ka taskira unho ne wapsi par Nabi (saw) ke saam'ne kiya. Aap(saw) ne farmaya: ye wo log hai, jab in me se koi nek aadmi mar jata toh ye uski TASVIR latka lete aur uski KABAR ko SAJDA- GAAH banaa lete, aise log Allah ke nasdeeq BAD-TAREEN maqlooq hai. >Bukhari:427 Jo log Awliya, Buzargo ki KABRO ko sajda-gaah bana lete hai aur unki tasavir latka lete hai, aise log Allah ke nasdeeq bad-tareen maqlooq hai. Rasul(saw) ne Apne Sahaba se farmaya ke tum Meri KABAR ko SAJDA-GAAH na banana. >Muatta Malik, p.65 Aap(saw) ne farmaya: Jis ghar ke andar kutta ya tasvir ho, waha rehmat ka farishta dakhil nahi hota.>Bukhari:4 ­ /539 Mazaro ya Dargaho ki tasviro ko gharo me latkana SHIRK hai, PEERO ya BUZARGO ki KABRO ki tasviro ko latkana bhi SHIRK hai. Gharo me jaan-daaro ki tasviro ko latka ne se rehmat ka farishta hi dakhil nahi hota. Aap(saw) ne KABRO par imaaratein(darg ­ ah, khankhwah, Masjid) khadi karne(baand'ne) ­ se MANAA kiya hai. >Muslim:970 Aap(saw) ne un logo ke upar LAANAT farmaya hai, jo Kabro par jakar CHIRAAG jalaa te hai. >Abu Dawood:3238 SHIRK sab se bada GUNAH hai, SHIRK se Allah ko sab se zyada nafrat hai. SHIRK karne wala MUSHRIK hai, SHIRK karne wala Allah aur Uske Rasul ka dushman hai. Log khule aam SHIRK kar ke Allah ke azaab ko dawat de rahe hai, isliye in KABRO ko zameen ke barabar kardo. Un Awliya ko Dargaho ki koi zarurat nahi, balki ye paisa muhataj musalmano me do. Apna paisa Molviyo aur Mujawaro ko mat do, ye log tumare MAAL aur DEEN ke dushman hai. DALEEL-> Aye imaan walo! bahoot saare Molvi, Mujawar, logon ka MAAL najayaz taur par kha jaate hai aur unko Allah ke raaste se gumrah kar dete hai. >Surah Tauba:34 Nabi(saw) ne farmaya: Allah ka ghazab un qaumo par nazil hota hai, jo Apne Ambiya ki KABRO ko SAJDA-GAAH banaa lete hai. >Muatta Malik:9/88 Nabi(saw) ne manaa kiya hai ke 3 Masajid ke ilawa kisi aur mukaam ki taraf sawaab ki niyyat se safar ka samaan baand kar hijrat na ki jaye aur wo 3 Masajid hai: 1. MASJIDIL HARAM 2. MASJIDIL AQSA 3. MASJIDIL NABVI >Bukhari:1189 Jo log badi badi Dargaho aur aise Qabrastan jaha KABRE OONCHI banayi gayi ho, wahan sawaab ki niyyat se safar ka samaan baandh kar hijrat kar ke jaate hai, ziyarat ke liye jaate hai, aise log Pyare Rasul ke hukm ki na-farmani karte hai. KYA MUSALMAN BHI SHIRK KAR SAKTE HAI? JAWAAB: HAAN DALEEL-> Bahoot saare log Allah par imaan rakhne ke baad bhi SHIRK karte hai, MUSHRIK hai. >Surah Yusuf:106 Allah farmata hai ke tum ko"LAA ILAHA ILLALLAH"ke bare me ilm hona chahiye. >Surah Mohammad:19 Allah us gunah ko nahi bakhshega ke kisi ko Uska SHAREEK banaya jaye aur uske siwa doosre gunah, jisko chahe maaf kar deta hai. >Surah Nisaa:48 Abu Bakr(ra) se marvi hai ke Nabi (saw) ne farmaya: kya Mai tum ko sab se bada kabira gunah na bataon? Aap(saw) ne aisa 3 baar farmaya, toh hum ne khaha: Aye Allah ke Nabi! kyu nahi, Aap hume zaroor batayein toh Aap (saw) ne farmaya: Allah ke saath kisi cheez ko SHAREEK karna. >Bukhari:2511 Har cheez ki ek na ek zid hoti hai aur TAWHEED ki zid SHIRK hai. Aye Nabi! Tumhari taraf aur tum se pehle guzre huye tamaam Ambiya ki taraf ye WAHIH bheji ja chuki hai ke agar tum ne SHIRK kiya toh tumhara kiya karaya AMAAL ZAAYA ho jayega aur tum QASARA pane walo me se ho jaoge.>Surah Zumar:65 SHIRK wo gunah hai, jiske bare me Allah ne ye yelaan kar diya hai ke jiski Maut bhi SHIRK par aayi, aise MUSHRIK ke liye JANNAT HARAM hai, aise MUSHRIK ka tikhana AAG hai. DALEEL-> Jisne Allah ke saath SHIRK kiya, us par Allah ne JANNAT ko HARAM kar diya hai aur uska tikhana JAHANNAM hai, waha ye hamesha rahega aur ZALIMO ka koi madadgar na hoga. >Surah Maida:72 Nabi aur Ahle imaan ke liye jayaz nahi ke wo MUSHRIKO ke liye maghfirat ki DUA kare, chahe wo inke rishtedaar hi kyu na ho, jab ke in par ye baat waazeh ho chuki hai ke wo JAHANNAMI hai. >Surah Tauba:113 SHIRK hi ko Qur'an ke andar sab se bada ZULM khaha gaya hai. DALEEL-> Luqmaan(as) ne Apne bete ko is baat ki wasiyat ki ke"Aye Mere Bachche! Allah ke saath SHIRK na karna, ye SHIRK bahoot bada ZULM hai" .>Surah Luqmaan:13 Madad sirf Allah ki taraf se hoti hai. Kisi Nabi, Wali, Kabar ya Bot se Madad maangna SHIRK hai. DALEEL-> Aur Madad sirf Allah hi ki taraf se hai .>Surah Anfal:10

No comments:

Post a Comment