Saturday, 12 July 2014

ROZEY KI HALAT MEI MAZI KHARIJ HO YA EHTELAM HO JAYE TOU ROZA TUTTA HAI NA MAKRUH HOTA HOTA HAI SAFAR MEI ROZA RAKHNA AUR CHODNA DONO DURST HAI

Hazrat abdullah bin abbas aur hazrat ikrama (r.a) farmatey hai roza kisi chiz ke jism mei dakhil hone se tootta hai jism se kharij hone se nahi tootta (( KITABUS SOUM BAB ALHIJAMAT WALKI ALSALIM)) Hazrat ayesha (r.a) riwayat hai ke hamza bin umro aslami (r.a)ne nabi akram (s.a) se pucha kya mai safar mei roza rakhu ? Aur wo kasrat se roze rakhne wale they nabi akram (s.a) ne farmaya agar chahey tou rakh chahey tou na rakh ((AL LULU WAL MARJAN RAQMUL HADEES 6 4))

No comments:

Post a Comment