Tuesday, 8 July 2014

NABI (SAW) JO DE WO LELO

Nabi (s( ne farmaya :

Jis kaam ka Mai tumhe hukm du
us par amal karo
aur
jis se mana karu us se baaz raho. 

(Sahi Ibne Maja :1/1

Jo log unke hukm ki mukhalifat karte hai unko darna chahiye ke aisa naho ke unpar koi afat pad jai ya taklif dene wala azab nazil ho

Noor 63

'Ay logo jo eaman laye ho, Allah ki Ita'at karo aur Rasool(s.w) ki Ita'at karo, aur isse hatkar apne Aamaal Baatil na Banao.
>surah e mohammed:33

Ay Nabi(s.w) kehdo! Agar tum Allah se Mohabbat karna Chahte ho To Meri 'Itteba' karo,
Allah khud tumse mohabbat karega,
Aur tumhare gunah bakhash dega,
Aur allah bada maaf karne wala hai.
>Al Imran:31

ISLAM ME
PURE KE PURE DAKHIL HO JAO
AUR
SHAITAN KE QADMO KI
PAIRVI NAKARO
BESHAK WOH TUMHARA KHULA
DUSHMAN HAI.
(BAQARAH : 208)

No comments:

Post a Comment