Tuesday 8 July 2014

NEK BIVI KI AHEMIYAT



Rafiqe hayat ke intakhab me zabardast ahetiyat ki zarurat hai. .

HADIS:
Hazrat Usama bin Zaid ((ra)) se riwayat hai:
Rasool Allah ((saw)) ne farmaya:
“Mai ne apne baad mardo ke liye aurato se zyada nuqsan da fitna koi nhi chora.“
((Bukhari # kitabun nikah))

Nek ‘ Parhez gaar aur wafadaar Bivi dunya ki har cheez se zayada qimti hai. .

HADIS:
Hazrat Abdullah bin Umar ((ra)) se riwayat hai: 
Rasool Allah ((saw)) ne farmaya:
“Dunya faida uthane ki cheez hai aur bahetarin mata Nek Aurat hai“

((Sahih Muslim # kitabun Nikah))

Nek Bivi khush bakhti ki alamat hai aur buri bivi bad bakhti ki alamat hai. .

HADIS:
Hazrat saad bin Abi waqas ((ra)) kahte hai: Rasool Allah ((saw)) ne farmaya: 
“4 cheeze khush bakhti ki alamat hai.
1))Nek Bivi
2))khula ghar
3))Nek ham saye
4))Acchi sawari

4 cheeze bad bakhti ki alamat hai.
1))Buri Bivi
2))Bura ham saya 
3))Buri sawari
4))Tang ghar.“

((Silsile ahaadise sahiha# vol:1 # hadis no.282))

No comments:

Post a Comment