Tawaqqul ke maana hai:
Aitebar karna aur bharosa karna :
Kisi ko aap apne maamlat sonp de aur apne ikhteyarat kisi ke supurd karde to goya aap ne is pr tawaqqul kiya.
AUR:
Tawaqqul aisi hasti pr karna chahiye jo hr tarha se kamil ho. .
Jis me koi aib aur kamzori na ho. .
Jo hr tarha ki ta‘aqato aur qudrato ka maalik ho...
Zahir hai:
Woh hasti sirf Allah suhan wa ta‘ala ki hi zaat hai.
Jis pr tawaqqul kiya jaye. .
QURÀN:
Aur Momino ko sirf Allah ta‘ala pr Bharosa karna chahiye . .
((Surah Ibrahim:aayat no.11))
Jo Allah pr bharosa kare iske liye woh ((Allah)) kafi ho jata hai.Allah Apna kaam pura karke rahta hai.
((Surah Talaq: aayat no.3))
Ham log tawaqqul ka matlb ye samjhte hai ke hr cheez Allah ke ikhteyar me hai.
Is liye maamlat Allah ke hawale kr do bs hamara kaam khatam . Ab hame kuch karne ki zarurat nhi na koi tadbeer karne ki zarurat hai na mahenat ki . Hasbe khoahish aap se aap ho jaye ga . .
LEKIN:
Na ye hamari soch sahih hai na ye tawaqqul ka matlb sahih hai .
Balke!
Ham apne aap ko fareb de rahe hai. .
Tawaqquk ka sahih matlb ye hai ke :
Jo kuch or jayese kuch zaraye wa wasail apne bas me or jitni salahiyat hame hasil ho ‘ inko puri tarha istemal kare OR phir natayej ko Allah ke upar chor de . .
Phir
Ye umed rakkhi jaye ke jo bhi natija bar aamad hoga woh Allah ki janib se hamare haq me bahetar hi hoga. .
Agr
Natija hasb _e_khoahish na nikle to isko Allah ki hikmat wa maslihat samjhe aur mayus na ho...
Aur Agr
Hasbe khoahish natija nikle to ise apni tadbeer ka natija na samjhe . .balke ise Allah ka fazl wa karam samjhe..
Agr koi tadbeer na kare to ye tawaqqul aalallah ke manafi hai. .
Tirmizi ke hadis ka mafhum
Aap ((saw)) se pucha gaya uont (camel) ko band kr tawaqqul karo ya chor kr Aap ((saw)) ne farmaya:
Bhando aur tawaqqul kare.
QURÀN:
Jab aapka pukhta irada ho jaye to Allah pr bharosa karo be shak Allah tawaqqul karne walo se mohabbat karta hai.
((Surah Ale imran ‘ aayat no.159))
حَسبُنَا اللهُ وَ نِعمَ الوَكِيل
Hamare liye Allah hi kafi hai aur woh bahetarin kaar saaz hai.
((Quran :3/173))
No comments:
Post a Comment