Friday, 22 December 2017

APP NE QARZ ADA KARNE KI NIYYAT SE LIYA HAI ? YA DUBANE KI ??


Hazrat Abu Huraira Raziallah se riwayat hai woh Rasool Allah ﷺ se bayan karte hai ke

AAP ne farmaya jo shaks logo se is Niyyat se Qarz le ke wo unhe Ada kar dega to Allah Ta,ala use Ada karne ki Taufik se Nawazega

Aur Jo shaks logo ka Maal zaaye kar dene ka Iradah se lega To Allah Usko Zaaye Kar Dega

((SAHIH BUKHARI # 2387))

Agar Qarz Ada karne ki niyyat se koi Qarz le to Allah Qarz Ada karne ke asbab paida kardega aur zyada muflisi ki wajah se na de paya to Qayamat ke din jisse karz Liya tha usko kush karke Maaf karwadega

Aur Jo dene ki niyyat hee na rakhe to Allah Ta,ala unka maal dunya me bhi zaya kardega aur akhirat me bhi Bhari Azab hai

Allah hame aur apko awwalan to Qarz Lene ki naubat hee na laye aur kabhi Abhi jaye to usko Ada karne ki Taufik de Ameen

From www.ekummat.blogspot.in share to all

No comments:

Post a Comment