Hazrat abu huraira (r.a) bayan karte hai ke rasool allah sallallahu alaiwasallam namaze fajr ke waqt bilaal (r.a) se farmaya aye bilaal mere samne apna wo amal bayan kar jo tune islam me kiya aur jispar tujhe sawab ki bohot zyada ummid hai kyunki maine apne age jannat me teri juton (shoes) ki awaz suni hai
Bilaal (r.a) ne arz kiya mere nazdik jis amal par mujhe (sawab ki) bohot zyada umeed hai wo ye hai ke maine raat ya din me jab bhi wazu kiya yo us wazu ke sath jis qadar nafil namaz mere muqaddar me thi zarur padi ( yani har wazu ke bad nafil padhe )
((SAHIH BUKHARI : 1149))
is sunnat par amal kare dosto yehee jannat me jane ki wajah hai balke is ke khilaf kitne log aise honge jo namaz khade hone ke waqt hee masjid me ate hai
allah kahene wale ko sabse phele amal ki taufik de aur padhne aur sunne wale ko bhi ameen
From EK UMMAT grp sabko bheje plz
No comments:
Post a Comment