Thursday, 3 July 2014

TAWAQQAL KA MATLAB AUR ISKI TAFSEER KA JAIEZA !!


QURÀN:

Aur Momino ko sirf Allah ta‘ala pr Bharosa karna chahiye . .
((Surah Ibrahim:aayat no.11))

Jo Allah pr bharosa kare iske liye woh ((Allah)) kafi ho jata hai.Allah Apna kaam pura karke rahta hai.
((Surah Talaq: aayat no.3))

Tawaqqul ke maana hai:
Aitebar karna aur bharosa karna :

Kisi ko aap apne maamlat sonp de aur apne ikhteyarat kisi ke supurd karde to goya aap ne is pr tawaqqul kiya.
AUR:
Tawaqqul aisi hasti pr karna chahiye jo hr tarha se kamil ho. .
Jis me koi aib aur kamzori na ho. . 
Jo hr tarha ki ta‘aqato aur qudrato ka maalik ho...

Zahir hai:
Woh hasti sirf Allah suhan wa ta‘ala ki hi zaat hai.
Jis pr tawaqqul kiya jaye. .


From EK UMMAT GRP sabko bheje plz

No comments:

Post a Comment