Saturday 2 August 2014

Bandon Par Allah Ke Huqooq (02)

Islami Aqeedah - 2 2 - Sawaal: Ibaadat kya hai? Jawaab: Ibaadat har us qawl aur fel ka naam hai jise Allah pasand farmaata hai. Maslan Dua, Namaaz aur Qurbaani wagaira jaisa ke Irshaad Ilaahi hai: "Keh dijiye! Yaqeenan meri Namaaz, meri Qurbaani, mera Jeena aur mera Marna Allah Rabbul Aalameen keliye hai". (Quran Surah Al-'An'ām 6:162) Aur Rasool Allah (sal lallaho alaihe wa sallam) ne farmaaya ke Allah Ta'ala farmaata hai: "Mera qurb haasil karne keliye banda jo amal karta hai unme se farz ibaadat mujhe sab zyada mahboob hai". (Sahih Bukhari 6502)

No comments:

Post a Comment