Tuesday 5 August 2014

Bandon Par Allah ke Huqooq (05)

Islami Aqeedah - 5 5 - Sawaal: Ibaadat mein ehsaan ka kya mafhoom (maane) hai? Jawaab: Ibaadat mein Allah Ta'ala ki taraf poora dhiyaan rakhna ehsaan hai. Irshaad Baari Ta'ala hai: Woh (Allah) jo tumhein us waqt dekh raha hota hai jab tum qiyaam karte ho aur sajde karne waalon mein tumhari naql wa harkat ko bhi. (Quran Surah Ash-Shu'arā' 26:218-219) Nabi (sal lallaho alaihe wa sallam) ne ehsaan ke baare mein farmaaya: Ehsan (ka mafhoom) yeh hai ke Allah Ta'ala ki ibaadat is andaaz se karo ke goya tum Allah ko dekh rahe ho, pas tum use nahi dekh sakte toh woh tumhein dekh raha hai. (Sahih Muslim 8)

No comments:

Post a Comment