abu huraira (r.a) se riwayat hai rasool allah sallallahu alaiwasallam
ne farmaya :
koi tum mese maut ki arzoo na kare aur na maut ane se phele maut ki
dua kare kyunki jo koi tum me se mar jata hai uska amal khatm ho
jata hai aur momin ko umr (age) zyada hone se bhalae zyada hoti hai
(kyunke wo zyada nekiyan karta hai )
((SAHIH MUSLIM : 6819))
hum agar gunegar hai tab bhi hamare gunah allah ki rehmat ke samne
kuch nahi hai isliye zindagi se tang akar bhi maut ki tamanna ya dua
na kare yaad rakhe jab aisa kuch khayal aye to ke allah ke ek naam
RAHEEM BHI HAI
from EK UMMAT grp sabko bheje plz
No comments:
Post a Comment