Sunday 31 May 2015

SHOHAR AGAR BIWI BACCHE PAR TIK SE KHARCH NA KARE TO BIWI CHORI SE LE SAKTI HAI



Hazrat Ayesha (r.a) farmati hai ke hind binte utba ayi aur kahene lagi ke aye allah ke Rasool mujhe sabse zyada pasand ye bat thi ke apke ghar walo ki zillat ho aur ajke din mujhe apke ghar walo ki izzat har chiz se zyada aziz hai

Nabi akram sallallahu alaiwasallam ne farmaya :
ke us zaat ki kasam jiske qabze me meri jaan hai aur bhi zyada hogi

phir hind ne kaha ke aye allah ke rasool (saw) abu sufyan kanjus admi hai kya mujhe gunah hoga agar mai uske maal mese apne baccho ko khilao ?? Apne farmaya ke nahi magar dastoor ke muwafik ho

((SAHIH MUSLIM : 4480))

Hind phele islam qabul nahi kiye the badme kiye aur unke shohar kanjus the NOTE ; is hadees se malum hua ke agar kisi ka shohar apni biwi bacho ko tikse khilata peelata nahi to wo chori se apne shohar ke pas se nikal sakti hai ispar usko guna nahi par sirf khilane pilane ki hadd tak beja kharch ke liye nahi

from www.ekummat.blogspot.in sabko bheje plz  

No comments:

Post a Comment