Tuesday 2 June 2015

KOI BHI AMAL AJ RAAT YA KABHI BHI KARNE SE PHELE TEHQEEQ KARLO WARNA HAUZE KAUSAR BHI NASEEB NAHI HOGA


Aey musalmano! Agar tumhen koi fasiq khabar dey to tum uss ko achi tarah tehqeeq kerlia kero aisa na ho kay nadaani mein kissi qom ko eza phoncha do phir apnay kiye per pasheymani uthao.
((SURE HUJRAT : SURE 49 AYAT : 06))

Nabi (saw) ne farmaya mai hauz par tumara peshwa rahunga jo bhi ispar ayega usse piyega aur jo usse pee lega uske baad kabhi pyasa nahi hoga achanak mere pass ek qaum ayegi jinhe mai pehchanunga aur wo mujhe pehchanenge phir mere aur unke darmiyan Aad kar diya jaega to mai kahunga ke wo mujhse hai to kaha jaega ap nahi jante ke in logo ne apke baad (deen me) kya kya tabdili kardi thi phir mai kahunga doori ho doori ho unke liye jinhone mere bad tabdili kardi
((SAHI BUKHARI ; 6212))

Yaha is hadees me hauze kausar jame kausar ka zikr ho raha hai ek biddat karne wale ko nabi ke hath ka jaam bhi naseeb nahi hoga aur unse doori bhi hogi ab ek musalman ke liye isse buri bat aur kya hogi ??

From www.ekummat.blogspot.in sabko bheje plz

No comments:

Post a Comment