Thursday 27 August 2015

DEEN KI DAWAT AUR BURAE KI DAWAT KA JAZA AUR SAZA


Beshak Jo log ye chahte hain ki Imaan walon mein be-hayaee ka charcha ho unke liye Duniya aur aakhirat mein  dardnak Azab hai
((SURE AN-NOOR : AYAT: 19))

Anas bin Malik Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya jis Dawat dene wale ne bhi Gumrahi ki Dawat di aur uski pairwi ki gayee to usko pairwi karne walon ke barabar gunaah milega aur pairwi karne walo ke gunah mein koi kami nahi hogi aur jis dawat dene walon ne hidayat ki taraf bulaya phir uski pairwi ki gayi to usko pairwi karne walo ke barabar Ajar milega aur pairwi karne walo ke Ajar mein kuch kami nahi ki jayegi

((SUNAN IBNE MAJAH  Vol 1 H. 205 ))

From www.ekummat.blogspot.in sabko bheje plz

No comments:

Post a Comment