Monday 21 December 2015

MILAD KI DALEEL QURAAN SE AUR USKA JAWAB BHI QURAAN SE


Keh dijiye ke allah ta.ala ke fazl wa rehmat ke sath pas iske sath wo kush ho jae wo isse behtar hai jise ye jama karte hai

((SURE YOUNUS : 58))

is ayat me allah apni rehmat par kushi manane ka hukm de raha hai ; aur nabi to rehmatullil alamin hai lihaza inki amat par sabse zyada kushi manani chahiye

NOTE ; YE AYAT KA GALAT MANA LIYA GAYA HAI

is ayat me nabi (saw) ki wiladat ka koi zikr nahi hai ha iski pichli ayat me nazile quraan aur nazile hidayat ka zikr zaroor hai

lughat arbi me farhat kushi mehsus karne ko kahete hai kushi ya jashn manane ko nahi kush hona aur chiz hai aur kushi aur jashn manana aur chiz hai in dono bato me zameen asman ka fark hai

misal ke taur par ye ayat dekhe allah ne sure tauba me gazwa e tabook se rahe jane wale munafiqo ke bare me farmaya

rasool allah (saw) (ke sath gazwa e tabook par jane ki bajae app (saw) ) se piche rahene wale kush hue
((SURE TAUBA : 81))

to kya munafiqh ne jashn manaya aur relly nikale the ye dili kushi mehsus kiye the ??

Agar ye jashn manane ki daleel hai to nabi aur sahaba ko nahi samjhi kya ?

From www.ekummat.blogspot.in share to all plz

No comments:

Post a Comment