Friday 11 December 2015

TALIB E ILM KI WAJAH SE ALLAH RIZQ DETA HAI GHAR ME



Anas (r.a) se riwayat hai kahete hai rasool allah sallallahu alaiwasallam ke zamane me 2 bhai the unme se ek rasool allah (saw) ki majlis-e-Hadees me sharik hota tha aur dusra mehnat mazdoori karta tha mehnat mazdoori karne wale ne apne bhai ki nabi (saw) se shikayat ki aur kaha aye allah ke rasool ye mere sath koi tawun (kaam) nahi karta  app (saw) ne farmaya shayad ke tujhe iski wajah se rizq diya jata ho

((TIRMIZI : 2346))

is hadees se malum hua ke koi talib e ilm hai jo deen ki tadap rakhta hai usko aisa nahi kahena chahiye are ye kaam kar wo kar kuch kam kyun nahi karta wagaira wagaira kyunki shayad ussi ki wajah se allah apko rizq dera ho waise bhi talib e ilm ki kafi fazilat ayi hai quraan o hadees me

from www.ekummat.blogspot.in share to all plz

No comments:

Post a Comment