Thursday 26 October 2017

HARAM KHANE AUR PAHEENE WALON KI DUA KABOOL NAHI HOTI



Abu huraira (r.a) bayan karte hai ke Rasool Allah sallallahu alaiwasallam ne farmaya aye logon beshak Allah ta'ala (khud) bhi Pak hai aur paak cheezon hi Ko pasand farmata hai aur beshak Allah ta'ala ne jo hukm Apne rasoolon Ko diya wohi hukm eeman walo Ko diya (rassolon) Ko farmaya

Aye rasoolon pakeeza cheezon khaao aur aur Nek Amal karo beshak jo tum karte ho mujhe acchi tarah uska ilm hai
((SURE MOMINOON AYAT ; 51))

Aur (mominon Ko) farmaya aye Imaan walo hamari di hue pakeeza cheezen Khao
((SURE BAQARA AYAT : 172))

Aur phir Aap sallallahu alaiwasallam ne aise Aadmi ka zikr Kiya jo Lamba Safar karta hai aur gard-o-ghubaar main ata hua paraagandah haal hai aur aise haal main (jo dua ki qubooliyat ke liye nehayat munaseeb hai) Aasman ki taraf hath  uthhaata hai ( dua karte hue kaheta hai) *aye mere rab aye  mere rab* Lekin uska khana haram ka hai peena haram ka hai libas bhi haram ka hai aur haram hi se wo pala hua hai to phir aise admi ki dua Kyun kar qabool ho ??

((MUSLIM KITABUL ZAKAT : 2346))

aye Allah hamare zindagi ka akhri khana peena aur pahenne halal ka Naseeb farma ameen

from EK UMMAT GRP SABKO BHEJE PLZ

No comments:

Post a Comment