Monday 30 October 2017

*NABI AKRAM ﷺ KI NUZOOL-E-WAHI KI KAIFIYAT KYA THI ??*


Hazrat Haris bin Hisham raziallah se riwayat hai ke Hazrat Haris bin Hisham raziallah ne Rasool Allah ﷺ se pucha ya Rasool Allah ﷺ AAP par Wahi kaisi Aati hai ??

To Rasool Allah ﷺ ne Irshad farmaya kabhi to Wahi Ane ki kaifiyat ghanti (bell) ki tan tan ki tarha Hoti hai

Aur ye kaifiyat mujh par bohot giran (mushkil) guzarti hai phir jab Farishte ka Paigham mujhe yaad ho jaata hai to yeh Ruk jati hai

Aur kabhi farishta Insaani shakl main mere pas akar mujhse hum Kalam hota hai aur kuch wo kehta hai main use mehfooz (yaad) kar leta hoon

Hazrat Ayesha raziallah ka bayan hai ke main Rasool Allah ﷺ Ko dekha ke jab Wahi Aati to uske mauqoof hone par apki peahani se paseena phoot padhta

((SAHI BUKHARI HADEES NO. 2 ))

Quraan me Allah farmata hai ke agar hum Quraan kisi pahad par nazil karte to wo Reza Reza ho jata

Allah ne Nabi Ko ye quwwat Ata k thi jisse wo ye kaifiyat Ko bardasht kare hai *Subhan Allah*

From facebook.com/ekummat like and share plz

No comments:

Post a Comment