Wednesday 15 November 2017

‌AGAR NAMAZ ME NEEND GALIB AJAYE HUM PAR TO KYA KARE ??


Hazrat Ayesha raziallah se riwayat hai ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya ke jab tum main se koi namaz padh Raha ho us dauran agar ongh ajaye to wo so jaye take uski neend Puri ho jaye kyunke onghte hue agar koyi namaz padhega to woh nahi Janta ke Apne liye astaghfar kar Raha hai ya khud Ko bad dua de raha hai 

((SAHIH BUKHARI # 212))

issi hame malum hua ke jab insan ke uppar neend galib ajae to namaz na padhe kuch der so jaye aur fir padhle 

Aur haa koi shaks isko namaz chodhna ka bahana na banaye ke mujhe to neend hee ati hai balke uska haal Nikal kar namaz padhe kyunke

QURAAN ME ALLAH FARMATA HAI BARBADI HAI UNKE LIYE JO NAMAZ ME SUATI KARTE HAI AUR
‌Namaz har haal me farz hai aur Allah ne hame asaniya Rakhi hai namaz ke liye bhi alhumdulillah

From www.ekummat.blogspot.in share to all..

No comments:

Post a Comment