Tuesday 7 November 2017

KUCH CHEEZEN HARAM HAI KUCH HALAL AUR KUCH MUSHTABEH AUR GOSHT KE TUKDE KI MISAL


Hazrat nomaan bin Basheer raziallah se riwayat hai unhone kaha main ne Rasool Allah ﷺ   se suna app  ﷺ   farma rahe the ke *halaal* zaahir hai aur *haram* (bhi) zaahir hai 
Aur in dono ke darmiyan kuch mushtabeh cheeze hai jine aksar log nahi jante pas jo shaks in mushtabeh cheezon se Bach Gaya usne apna Deen aur apni Aabroo Ko bacha Liya 
Aur Jo koyi un mushtabeh cheezon me mubtala ho Gaya uski misaal us charwaahe ki tarha hai jo Shashi charagaah ke aspas (Apne jaanwaron) charaaye qareeb hai ke charagaah ke andar uska (Janwar) ghus jaaye Aagah raho ke har badshah ki ek charagaah Hoti hai 
Khabar dar Allah ki charagaah uski Zameen main haram kardah cheezen hai Sunlo badan me ek tukda hai (ghost ka) jab wo sawar jaata hai to Sara badan sawar jata hai 
Aur jab wo bigaad jata hai Sara badan kharab ho jata hai Aagah raho woh tukda Dil hai 
((SAHIH BUKHARI# 52))

From www.ekummat.blogspot.in share to all

No comments:

Post a Comment