Tuesday 14 November 2017

*PANI NA MILNE KI SURAAT ME 3 PHATTAR SE KAM ME ISTINJA NAHI HOTA*


Hazrat Abdullah bin Masood raziallah se riwayat hai unhone farmaya ke Rasool Allah ﷺ  ek dafa kazaaye hajat ke liye tashreef le Gaye aur mujhe teen patthar laane ka hukm diye do phattar to mil Gaye

Lekin talaash ke bawajood teesra na mil saka maine gobar ka khusk ( Sukha) tukda utha Liya aur woh AAP ke pass laya AAP ne dono patthar to le Liya gobar phenk diye aur farmaya ye paleed hai

((SAHIH BUKHARI # 156

Gobar ka tukde darasal gadhe ki leed thi jise Apne najiss Qatar diya phir Apne teesra patthar talab farmaya

Isse malum hua ke istinja Pani na hone ki Surat me ek phattar se nahi hota balke 3 hee se hoga warna app do hone ke bawajood teesra na mangwate aur teen phattar lane ka hukm na dete

From www.ekummat.blogspot.in share to all

No comments:

Post a Comment