Monday 27 November 2017

RUKE SE SAR UTHA KAR AGAR YE DUA PADHE TO FARISHTE APAS ME SAWAB LIKHNE KE LIYE JALDI KARTE HAI

Hazrat Rifa'ah bin rafee zarqi raziallah se riwayat hai unhone farmaya ke hum ek din

 Rasool Allah ﷺ ke peeche namaz padh rahe the jab AAP ne ruku se sar utha kar farmaya

(سمع الله لمن حمده)
 *Samiullah HuLiman hamidah*

To ek shaks ne piche se kaha

(ربنا ولك الحمد حمدا كثيرا طيبا مباركا فيه)


 *Rabbana walakal hamdu hamdan kaseeran tayyaban mubarakan fee*


Jab AAP namaz se farigh hue to farmaya ke ye kalimat kisne kahe the ??

Wo shaks bola maine tab AAP ne farmaya ke Maine 30 se zyada farishto Ko dekha ke woh ispar baaham sabqat karte  the ke Kaun usko phele qalamband kare ??

((SAHIH BUKHARI # 799))

To malum hua ke in kalimat Ko ruku ke bad kahene ki kya fazilat hai ke farishte jaldi karte hai iska sawab LIKHNE ke liye aur isko ba awaz buland kahena jaiz hai aur sunnat bhi par

Aaj aksar masjido me iska ehtemam nahi hota ruku ke bad itna waqt hee nahi dete imam ke ye dua padhli jaye aur baaz Ko ye dua pata hee nahi Hoti

From www.ekummat.blogspot.in share to all

No comments:

Post a Comment