Tuesday 28 November 2017

SAJDA-E-SAHU KA SAHI TARIKA JISSE AaJ AKSAR LOG BEKHABAR


Hazrat Abdullah bin buhainah raziallah ( jo qabeelah azdeshanoah se hai aur bani abd-e-manaaf ke haleef aur Rasool Allah  ﷺ ke 
ashaab se the) se riwayat hai ke
Rasool Allah ﷺ  ne logo ke ek din namaz-e-zohar padhayee aur pahli do rakat ke bad bhaithne ki bajaye khade ho gaye log bhi Aap ke sath khade ho gaye

jab aap apni namaz puri karchuke to log intezar me the ke ab salam pherenge to Aap ne bhaithhe hee bhaithe allahu akbar kaha salam se phele do sajde kiye phir  salam phera

(( SAHIH BUKHARI # 829))

Ye sajda sahu ka sahi tarika hai jo sunnat se sabit hai aur ye masla bhi malum hua ke 4 rakat me agar phele tashaud me bhaitha bhool Gaye to namaz batil nahi Hoti usko daura ne ki zaroorat nahi sajda e Sahu kafi hai


From www.ekummat.blogspot.in share to all

No comments:

Post a Comment