Thursday 7 December 2017

AGAR HUM KISI TANGDAST YA MALDAR KE SATH NARMI KARE TO ALLAH BHI NARMI KARTA HAI


Hazrat Huzaifa Raziallah se Riwayat hai unhone kaha Rasool Allah ﷺ ne farmaya ke phele Zamane me Farishton ne Ek shaks ki Rooh se Mulakat kar ke poocha kya tune koi Nek Kam Kiya hai ??

Usne kaha main Apne Mulaazameen (workers) Ko ye hukm deta tha ke woh tang dast Ko Adayeegi me mohlat den Aur aur Maldar se Narmi kare to Allah ne bhi mujhse Narmi Iktiyar farmayi

 ((SAHIH BUKHARI # 2078))

IS hadees se hame malum hua ke koi gareeb agar kisi wajah se apko paise dene me deri kar Raha hai to hame maolat Deni chahiye

aur Agar wo MALDAR HO  tab bhi USKO Maolat Deni chahiye

Share to all

No comments:

Post a Comment