Tuesday 26 December 2017

DEEN KA KAM KARNE KE LIYE AGAR KOI SHAKS O'HDAH (TITLE) MANGE TO ??



Hazrat Abu Musa raziallah se riwayat hai ke unhone kaha ke Mai Rasool Allah ﷺ ki khidmat me Hazir huwa mere sath Asha'ri Qabeeleh ke do Aadmi the

Unhone Rasool Allah ﷺ se kisi O'hdah ki darkhaast ki Maine Arz Kiya ya Rasool Allah ﷺ Mujhe maloom nahi tha yeh mansab chahate hai AAP ne farmaya hum us shaks Ko hargiz kisi kaam me mamoor nahi karte jo khud Aamil banne ka khaahish mand ho

((SAHIH BUKHARI # 2261))

Is hadees se maloom hua ke koi agar koi ohdeh yani title ke saath Kam karna chahata hai to usko nahi Dena chahiye wo title

Maslan kisi masjid me koi kahe ke mujhe *Ameer* banao koi kahe ke mujhe *secretary* banao wagaira wagaira to usko us ohdeh par nahi khada karna chahiye isse Nabi ﷺ ne mana farmaya hai ye unki sunnat hai

From www.ekummat.blogspot.in share to all

No comments:

Post a Comment