Wednesday 9 July 2014

HAI KOI NASIHAT LENE WALA. . .??

فهل من مدكرJIS ROZE . . . . . . . ▪Aasman phat jaaye ga. .((1:82))▪Chand be noor ho jaye ga. .((8:75))▪Sitaare bhikhar jaye ge. .((2:82))▪Pahaar reza reza ho jaye ge. .((6:56))▪Qabare khol di jaye gi. .((4:82))▪Log bhikhre patango ki tarha ho ge. .((4:101))▪Dil kaap rahe ho ge. .((8:82))▪Dide patthra jaaye ge. ((7:75))▪Kaleje muh ko aa rahe ho ge. .((81:40))▪Chahere khoaf zada hoge. .((2:88))▪Suraj ek mil ke fasle pr hoga. .((Muslim))▪Log pasine me sharabor ho ge. .((Muslim))▪Allah ta‘ala is qadr gusse me ho ge‘ ke isse pahele kabhi hue na baad me hoge. .((Bukhari wa Muslim))▪Ambiya karam tak apni apni jaan ki aaman talb kar rahe ho ge. .((Bukhari wa Muslim))▪Log shifa‘at ki talash me nikle ge. .((Bukhari wa Muslim))▪Hazrat Aadam ((as)) inkar karde ge. . Hazrat Nooh ((as)) inkar karde ge. .Hazrat Ibrahim ((as)) inkar karde de ge. . Hazrat Musa ((as)) inkar karde ge. . Hazrat Isa ((as)) bhi inkar karde ge. .((Bukhari wa Muslim))TAB. . . . . . !▪Hamare Rasool ((saw)) ‘ Hamare Shaahid ‘ hamare nazir ‘ hamare shafi ‘ hamare mohsin ‘ sahaabe kawsar mohammad mustafa ahmad ((saw)) aage barhe ge aur farmaye ge_ _ _Aana laha_ _ _Aaj mai hi shifa‘at ka ahel ho!!!AUR PHIR!!▪Aap ((saw)) izne shifa‘at ke liye arshe ilahi ke niche sajde me gir pade ge jb tak Allah chahe ga. .((Bukhari wa Muslim))▪Sajde me hamdo sana bayan kare ge ‘ jb tak allah chahe. . ((Bukhari wa Muslim))▪Jab izne shifa‘at mile ga tab Aap ((saw)) shifa‘at kare ge ‘ aap ((saw)) ki shifa‘at suni aur qabool ki jaye gi. .((Bukhari wa Muslim))$$ Falhamdu lillahi hamdan kasiran tayyaban mubarakan fihi kama yuhibbu rabbana wa tarza $$. .PAS. . .!!Aye Imaan walo!!Aye Basirat aur basarat rakhne walo!!Aye daana aur bina logo!!Zara goar karo aur socho !!IS ROZ NAJAT KE LIYE !! !!▪Shafi aur mushaffi Rasool Allah ((saw)) ki shifa‘at hasil karna accha hai ya khud saakhta sifarashiyu ki sifarish hasil karna accha hai. .. . .Afalaa taaqilun ??. . .. . . ??افلا تعقلون. . .. . .Kya tum aqal se kaam na lo ge???. . . 

No comments:

Post a Comment