Friday, 27 June 2014

FARZ ROZE KI NIYAT FAJR SE PHELE KARNA ZARURI HAI

Hazrat hafsa (r.a) se riwayat hai Nabi akram sallallahu alaiwasallam ne farmaya jis ne fajr se phele roze ki niyat na ki uska roza nahi ((TIRMIZI RAQMUL HADEES : 583)) Farz roze yani ramzan ka roza rakhne ki niyyat behtar hoga ke raat ko hee karke so jae kabhi agar subha fajr me neend nahi khuli to ap bagair sehri ka roza rakh sakte par isko adat na banae ye sunnat hai sehri karna roze ki niyyat to ap raat ko hee karke soe the Aur nafi roze ki niyyat raat ko ya fajr me zaruri nahi ap zawal ke waqt tak karle yani zohar ki namaz ke kareeb par nafil ki bhi niyyat karna hai par takeer se kar sakte hai isme sehri khana zaruri nahi nafil me aur amalo ka daromadar niyyato par hai isliye kare niyyat

No comments:

Post a Comment