Wednesday, 25 June 2014

RAMZAN PANE KE BAWAJUD MAGFIRAT HASIL NA KAR SAKNE WALE KE LIYE HALAKAT HAI

RAMZAN PANE KE BAWAJUD MAGFIRAT HASIL NA KAR SAKNE WALE KE LIYE HALAKAT HAI

Hazrat kaab bin ajra (r.a) farmate hai rasool allah(saw) ne sahaba kram (r.a) se farmaya manbar (seedhi) lao hum manbar ley aye jab nabi karim (saw) pheli seedhi chadey tou farmaya aamin phir dusri seedhi chadey tou farmaya aamin issi tarha aap (saw) jab teesri seedhi chadey tou farmaya aamin jab rasool allah (saw) manbar se niche tashrif laye tou hum ne arz kiya ya rasool allah (saw) aaj humne aap se aisi baat suni jo isse phele kabhi nahi suni aap (saw) ne farmaya janab jibrail alisalam mere pas aye

aur kaha uss admi k liye halakat hai jiss admi ne ramzan ka mahina paya aur apne gunahon ki baqshisaur maafi hasil na kar saka- iske jawab mei mai ne aamin

 kaha phir jab mai dusri seedhi per chadha tou janabe jibrail alaisalam ne kaha halakat hai uss admi ke liye jiske samne aap (saw) ka zikr kiya jaye aur wo aap (saw) per darud na bhejey- mai ne iske jawab mei aamin kahi

 phir jab teesri seedhi chadha tou janab jibrail alaisalam ne kaha jis shaqs ne apne maa baap ya dono mei kisi ek ko budhape ki halat mei paya aur unki khidmat kar ke jannat hasil na ki uske liye bhi halakat ho- mai ne iske jawab mei kaha aamin - 

((SAHI AL-TARGEEB WAL TARHEEB 985))

No comments:

Post a Comment