Hazrat abu huraira (r.a) kahete hai rasool allah sallahu alaiwasallam ne farmaya allah azzawajal farmate hai ke ibne adam ka har amal uske liye hai siwae roze ke.
Roza mere liye hai aur mai hee iski jaza dunga roza (Aag se ) dhal hai lihaza jis roz tumme se kisi ka roza ho us roz wo fahesh goe na kare aur behuda kalami na kare aur agar koi dusra isse gali galoch kare ya ladae kare to rozedar ko ( sirf itna kahena chahiye ) mai rozedar hu us zaat ki kasam jiske hath me mohammad (saw) ki jaan hai rozedar ke muh ki kushbu qayamat ke din allah ta.ala ko mushk ki kushbu se bhi zyada pasandidi hogi rozedar ke liye 2 kushiya hai jinse wo farhat hasil karega
1) jab wo roza iftar karta to kush hota hai
2) jab wo apne rabb se milega aur roze ke badle me apne rabb se inaam paega to kush hoga
((MUKTASAR SAHIH MUSLIM : 571))
Hame kya inaam milne wala hai pata nahi jiska roza jitna mazbut usko utna acha inaam milega in sha allah isliye rozedar ko chahiye ke har tarha ke gunah se roze ki halat me khas bache
From EK UMMAT grp sabko bheje plz
No comments:
Post a Comment