Sunday 27 July 2014

NAMAZ EID KE LIYE KHAWATEIN KO BHI EIDGAH MEI JANA CHAHIYE

Hazrat umme atiya (r.a) se riwayat hai ke rasool allah (saw) ne hukum diya ke dono eido ke din hum haiz wali aur parda nashin (yani tamam) aurto ko eidgah mei layi takke wo musalmano ke sath namaz aur dua mei shirkat karey albata haiz wali aurtey namaz na padhey (isse bukhari aur muslim ne riwayat kiya hai) (alulul walmarjan hadis no 511) NAMAZ EID SE PHELEY YA BAD KOI (NAFIL YA SUNNAT ) KI NAMAZ NAHI Hazrat abdullah bin abbas (r.a) farmatey hai ke nabi akram (saw) eidul zuha ya eidul fitr ke roz (ghar se nikley) do rakat namaz ada farmayi aur isse pheley ya bad koi namaz nahi padhi Isse muslim ne riwayat kiya hai (sahi muslim hadis no 430) NAMAZ EID KE LIYE PAIDAL JANA AUR WAPAS ANA SUNNAT HAI Hazrat abdullah bin umr (r.a) farmatey hai nabi akram (sAw) eidgah paidal jatey aur paidal hi wapas tashrif latey Isse ibne maja ne riwayat kiya hai (ibne maja hadis no 1071) From www.ekummat.blogspot.in sabko bheje plz

No comments:

Post a Comment