Monday 4 August 2014

Bandon Par Allah Ke Huqooq (04)

Islami Aqeedah - 4 4 - Sawaal: Kya hum Allah ki ibaadat khauf aur tama se karen? Jawaab: Ji haan! Ibaadat ke waqt hamari yehi kaifiyat honi chahiye kyunki Allah Ta'ala momino ki haalat bayaan karte huwe farmaaya: "Woh (momineen) apne rabb ko khauf aur tama ke saath pukaarte hain." (Quran Surah As-Sajdah 32:16) Aur Nabi (sal lallaho alaihe wa sallam) ne is dua ki tahseen farmaayi: "Ay Allah main tujhse jannat ka sawaal karta hoon aur jahannam se teri panaah chahta hoon." (Sunan Abu Dawood 702)

No comments:

Post a Comment