Friday 8 August 2014

Tawheed: Iqsaam Aur Fawaid (07)

Islami Aqeedah - 7 2 - Sawaal: Tawheed Raboobiyat (Rabb hone mein Allah ko ek maanna) kya hai? Jawaab: Allah Ta'ala ko uske af'aal mein yakta maanna ke koi doosra uske kaamon mein shareek nahi, Tawheed Raboobiyat hai, maslan paida karna, tadbeer karna Irshaad Ilaahi hai: "Tamaam taarif Allah hi keliye hai jo tamaam kayinaat ka Rabb hai." (Quran Surah Fatiha 1:1) Rasool Allah (sal lallaho alaihe wa sallam) raat ko in alfaaz mein dua karte the. "Tu hi aasmaan aur zameen ka Rabb hai." (Sahih Bukhari 7385)

No comments:

Post a Comment