Friday 8 August 2014

Tawheed - Iqsaam Aur Fawaid (08)

Islami Aqeedah - 8 3 - Sawaal: Tawheed Uloohiyyat (sirf ek Maabood ko maanna) kise kahte hain? Jawaab: Sirf akele Allah ki ibaadat karna aur uske saath usme kisi ko shareek na karna Tawheed Uloohiyyat hai, jaise Dua (pukaarna), Zabah aur Nazar maanna wagaira sab Allah Ta'ala hi keliye hai. Irshaad Baari Ta'ala hai: "Aur tumhara Maabood barhaqq ek hi Maabood hai. Uske siwa koi Maabood barhaqq nahi hai wohi Rahmaan (aur) Raheem hai." (Quran Surah Baqarah 2:163) Rasool Allah (sal lallalaho alaihe wa sallam) ne Muaaz (razi Allah anho) ko Yemen rawana kiya toh unse farmaya: "Pas sabse pahli chiz jiski taraf tu unhe daawat de, Allah Azzo Wajal ki ibaadat ho." (Saheeh Muslim 19) Sahih Bukhari mein man darja zel alfaaz mein hai: "Logo sabse pahle is baat ki daawat dena ke woh Allah ko ek maane." (Sahih Bukhari 7372)

No comments:

Post a Comment