Thursday 23 November 2017

SAFO KO DURUST KARNA NABI KI SUNNAT HAI


Hazrat Ana's Raziallah se riwayat hai ke Rasool Allah ﷺ  ne farmaya safon Ko durust karo aur milkar khade ho jaao main tumain apni peeth ke piche se bhi dekhta raheta hu 

((SAHIH BUKHARI # 719))

Ye Nabi ka ek maujaza bhi hai is hadees ke shuru yu hai ke jab EQAMAT Kahi gayi to AAP ne apna chahera Mubarak
Hamari taraf mutawajjah karke farmaya tha
Aaj musalmano me ye etram nahi hota halan ke khud Rasool Allah ﷺ aur khulfae 

rasheedin ka ye mamool tha ke jab tak saaf durust na karlete namaz shuru na karte 
Allah hame deen ki gayri samajh aur uspar Amal karne wala banaye ameen


Fromwww.ekummat.blogspot.in share to all

No comments:

Post a Comment