Wednesday 1 November 2017

SAHABA KA KAHENA KE AMAL AISA HOKE MUSHAKKAT HO AUR NABI KA GUSSA HONA



Hazrat Ayesha raziallah se riwayat hai unhone farmaya ke Rasool Allah ﷺ jab sahaba Kram Ko hukm dete to unhi kaamon ka hukm dete jinko woh baa asani kar sakte the unhone arz Kiya yaa Rasool Allah ﷺ hamara haal AAP jaisa nahi hai

Allah ne to apki agli pichli har kotaahi se dar guzar farmaya hai ye sunkar AAP is qadar naaraaz huye ke aap ke chehere Mubarak par ghusse ka asar zaahir huwa phir app ne farmaya

Main tum sab se zyada parezgar aur Allah Ko jaanne wala hoon

((SAHIH BUKHARI HADEES NO. 20))

Nabi kareem ﷺ is wajah se gussa hue kyunke sahaba Kram ye kahete the ke Amal Aisa hona chahiye ke jisse hame karne ne mushakkat paida ho ya takleef ho

Issi liye Nabi gussa hue ke Deen Apne hisab se na chaho

From www.ekummat.blogspot.in share to all

No comments:

Post a Comment